yeh shahar hai ya.....
yeh andhe, bahre aur goongoon ka shahar hai horn bajana zaroore hai phir kahte hai horn bajane pe fine lagega aur kanoon tak awaaz jaati nahi hai yeh andhoon ka shahar hai jinhe apne alawa kuch nahi dekhaye deta aur inhe dekhke baki bhi gandhari bann gaye hai yeh bahroon ka shahar hai jinke kaan sirf wahi sunte hai jo sunna chahte hai phir kahte hai hamare baat koi sunta nahi Yeh goongoon ka bhi shahar hai jo kabhi awaaz nahi utha sakte aur kahte phir te hai ki hamare koi sunta nahi yeh shahr hai ya apahiz jo na chal sakta hai na daudh sakta hai na uth sakta hai na beth sakta hai phir bhi bhage jaa raha hai yeh shahr hai ya mareez bimaar hai aur dawayeean par zinda hai phir bhi bhara bhara tandarust nazar ata hai