Wednesday, September 21, 2011

yeh shahar hai ya.....

yeh andhe, bahre aur goongoon ka shahar hai
horn bajana zaroore hai
phir kahte hai horn bajane pe fine lagega
aur kanoon tak awaaz jaati nahi hai

yeh andhoon ka shahar hai
jinhe apne alawa kuch nahi dekhaye deta
aur inhe dekhke baki bhi
gandhari bann gaye hai

yeh bahroon ka shahar hai
jinke kaan sirf wahi sunte hai
jo sunna chahte hai
phir kahte hai hamare baat koi sunta nahi

Yeh goongoon ka bhi shahar hai
jo kabhi awaaz nahi utha sakte
aur kahte phir te hai
ki hamare koi sunta nahi

yeh shahr hai ya apahiz
jo na chal sakta hai
na daudh sakta hai
na uth sakta hai
na beth sakta hai
phir bhi bhage jaa raha hai

yeh shahr hai ya mareez
bimaar hai aur
dawayeean par zinda hai
phir bhi bhara bhara tandarust nazar ata hai